rukh se uthti hai naqab-e-mah-e-taban har shab lahlahate hain nigahon mein gulistan har shab aan ki aan mein aafaq pe chha jata hai nikhat-o-nur ka umda hua tufan har shab tere jalwon se charaghan ka saman rahta hai jagmaga uthti hai ye manzil-e-viran har shab teri sanson ki mahak jin mein basi rahti hai in hawaon se mahakta hai shabistan har shab tere nikhre hue angon ke hasin rang liye raqs karti hai bahaar-e-chamanistan har shab 'alam-e-nashsha mein ru-e-'araq-aluda par wo laten hoti hain lahra ke pareshan har shab saghar-e-baada liye saz ki aawaz ke sath nachti rahti hai ruh-e-tarabistan har shab dida-o-dil pe kiya karti hai kya kya jadu masti-o-shokhi-e-chashman-e-ghazalan har shab jam us nargis-e-sarshaar se le kar 'muztar' rang-o-ahang se hota hai ghazal-khwan har shab