rukhsat hui bahaar nazare chale gae daman tera chhina ki sahaare chale gae aaya na lab pe harf-e-shikayat bhi bhul ke jaise bhi apni guzri guzare chale gae sab kuchh lutaya phir bhi tujhe pa sake na hum bazi har ek gam pe haare chale gae sine mein soz aankh mein aansu liye hue mahfil se teri dard ke mare chale gae hans hans ke hum ne zulm sahe hain tere liye mar mar ke bhi tujhi ko pukare chale gae maujon se ai 'tabassum' abhi aur khel le kashti se teri dur kinare chale gae