rup kuchh aan-ban mein kuchh hai

rup kuchh aan-ban mein kuchh hai
aur maza is ke man mein kuchh hai

be-badal kah tujhe khada sanea
ye bhanak mere kan mein kuchh hai

karna sakhti na tuk samajhna jaan
jaan mujh na-tawan main kuchh hai

ai musawwir shitab ho ki abhi
us ka naqsha dhiyan mein kuchh hai

hai ye abru-kaman hadaf-andaz
tir sa is kaman mein kuchh hai

dhan-pan hai mizaj us ki to
aan mein kuchh hai aan mein kuchh hai

man ka pan bhi ghanimat jaan
ab tawazo jahan mein kuchh hai

wo munafiq hai aadmi jis ke
dil mein kuchh hai bayan mein kuchh hai

khol aankhen dilon ki dekho to
la-makan ya makan mein kuchh hai

ghair-e-khaliq ke aur bhi logo
is zamin-o-zaman mein kuchh hai

us siwa hai to kuchh kaho bare
jis ke wahm-o-guman mein kuchh hai

dekhiyo 'azfari' ko tuk aur hi
aan-ban is jawan mein kuchh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close