ruswai ke khayal se dar to nahin gae wo rasta badal ke guzar to nahin gae tark-e-talluqat se tum ko bhi kya mila hum bhi gham-e-firaq se mar to nahin gae hum pe taras na kha hamein lachaar dekh kar hum tut bhar gae hain bikhar to nahin gae dariya ke par utar ke jalai hain kashtiyan nakaam laut ke kabhi ghar to nahin gae daur-e-khizan mein sabza-o-shabnam kahan 'zafar' palkon pe aa ke ashk thahar to nahin gae