rut meri basti ko is darja bhi barani na de

rut meri basti ko is darja bhi barani na de
shahr-e-dil ke sabza-zaron ko ye virani na de

mil nahin pata kabhi phulon se ghunchon se mizaj
yun mahak bhi apni un ko raat-ki-rani na de

khud-kalami karni hai khud se hi sargoshi mujhe
ab koi surat mujhe jaani ya anjaani na de

sim-gun khwabon ko le kar ho na sar-gardan kabhi
is kharabe par to apni jaan ai jaani na de

be-niyazi hi teri hasil mohabbat ka sahi
chashm-e-hairat ko to phir bhi dard ka pani na de

tutte hi nashsha-e-ulfat na rah jaen khuli
chashm-e-ummid-e-karam ko aisi hairani na de

chand hi kya kahkashaen bhi karen aa kar tawaf
us pari-paikar ko aisa husn-e-la-sani na de

narm-o-nazuk paudh kumhla jaegi itna to soch
in jadon ko apni nafrat ka to ye pani na de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close