rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai aur mausam ke taghayyur se bhi dar lagta hai dard-e-hijrat ke satae hue logon ko kahin saya-e-dar bhi nazar aae to ghar lagta hai ek sahil hi tha girdab-shanasa pahle ab to har dil ke safine mein bhanwar lagta hai bazm-e-shahi mein wahi log sar-afraaz hue jin ke kandhon pe hamein mom ka sar lagta hai kha liya hai to use dost ugalte kyun ho aise pedon pe to aisa hi samar lagta hai ajnabiyyat ka wo aalam hai ki har aan yahan apna ghar bhi hamein aghyar ka ghar lagta hai shab ki sazish ne ujalon ka gala ghunt diya zulmat-abaad sa ab nur-e-sahar lagta hai manzil-e-sakht se hum yun to nikal aae hain aur jo baqi hai qayamat ka safar lagta hai ghar bhi virana lage taza hawaon ke baghair baad-e-khush-rang chale dasht bhi ghar lagta hai