rut ne riwayat ke rukh badle har masud saud gaya sadqon se mafqud hue dil mabad se mabud gaya do faslen do naddi kinare aapas mein kya un ka rishta ghar mein giri jab imli pak kar bagh se tab amrud gaya maut mohabbat ki war-mala chita swayamwar aag doshaala pyar piya ki prit ka pyasa nar anhaar mein kud gaya chati aur chulha sab aundhe be-masraf baithi hai gori bhor bhae basti se bik kar shahr ki jaanib dudh gaya chhod ke kawita kya kuchh paya dost tujhe aur nam ganwaya ye din ye sin hue akarat ye jiwan be-sud gaya rang dukanon ki ranai khushbu dargahon ki zinat zulf-e-moambar ab ban ambar sej suhag se ud gaya sakhiyan sangat dahi pakaude haali khetiyan khad ke tode dur talak in qariyon qasbon barkha ruton ka rud gaya