saat-e-hijran hai ab kaise jahanon mein rahun kin ilaqon mein basun main kin makanon mein rahun ek dasht-e-la-makan phaila hai mere har taraf dasht se niklun to ja kar kin thikanon mein rahun ilm hai jo pas mere kis jagah ifsha karun ya abad tak is khabar ke raaz-danon mein rahun wasl ki sham-e-siyah us se pare aabaadiyan khwab daim hai yahi main jin zamanon mein rahun ye safar malum ka malum tak hai ai 'munir' main kahan tak in hadon ke qaid-khanon mein rahun