sab baaten la-hasil Thahrin sare zikr fuzul gae

sab baaten la-hasil thahrin sare zikr fuzul gae
yaad raha ek nam tumhaara baqi sab kuchh bhul gae

main ne tera nam mita kar tera chehra kya bhula
bich samundar kashti tuti hathon se mastul gae

tere sath tere raste mein hanste-bolte sathi the
mere sath mere raste mein kante aur babul gae

sham parinde laut aae to hum teri khoj mein chal nikle
phir jangal mein raat hui aur ghar ka rasta bhul gae

bahs-bhari mulaqat ke baad wo aakhir basti chhod gaya
sab tawilen khak huin mere sare lafz fuzul gae

hawa ko kya malum ho 'azhar' hawa ke ek hi jhonke se
kitni shakhen tut gain aur kitne patte jhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close