sab jise kahte hain waqf-e-gham-e-jaanan hona

sab jise kahte hain waqf-e-gham-e-jaanan hona
awwalin shart hai us ke liye insan hona

gham ke daghon ne bada kaam banaya dil ka
is siyah-khane mein mushkil tha charaghan hona

apne partaw ke siwa zehn mein kuchh bhi na raha
aur sikhlaiye aainon ko hairan hona

uf ye diwangi-e-ishq ki is bazm mein bhi
jab kabhi hosh mein aana to pareshan hona

bazm-e-alam ho ki mahshar meri danist mein hai
ek tajalli ka kai rukh se numayan hona

khar-o-khas ko bhi nigahon mein rakhen ahl-e-chaman
warna mumkin nahin tanzim-e-bahaaran hona

dil ke tukde sar-e-daman pe liye baitha hun
khel samjha tha ilaj-e-gham-e-pinhan hona

mera kirdar hai zahir mere ashaar se 'kaif'
jaise taswir mein ek rang numayan hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close