sab ke dukh mein shamil ho kar sab ka hona paDta hai

sab ke dukh mein shamil ho kar sab ka hona padta hai
apni hasti ko pane mein khud ko khona padta hai

uljhan ke sang baithe baithe pahron rona padta hai
us ki chahat dil mein rakh ke us ka hona padta hai

sahil par hi baithe baithe socho chahe jo lekin
sagar se milne ki khatir dariya hona padta hai

shohrat ki bahki rahon se tum bhi ghar aa jaoge
din dhalte hi suraj ko bhi ja kar sona padta hai

hum phulon se chehre wale marham jaisi tabiat hai
zakhmon ki khatir to bhai nashtar hona padta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close