sab miT gae mange hai magar teri nazar aur

sab mit gae mange hai magar teri nazar aur
ab laen kahan se bata dil aur jigar aur

kam khak ghariban-e-mohabbat ko na jaano
utthenge isi khak se kal khak-ba-sar aur

har zarre mein bas ek hi zarra nazar aae
gar chashm-e-tamasha ko mile husn-e-nazar aur

kab baith sake manzil-e-hasti ko pahunch kar
aage jo bada is se hai wo ek safar aur

duniya mein mohabbat ki kami hai to bala se
aabaad mohabbat karen aa sham-o-sahar aur

kya tum ko takalluf hai meri chaaragari mein
ek tir-e-nazar tir-e-nazar tir-e-nazar aur

ye kya ki faqat khar hi qismat mein likhe hain
ai khana-e-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar aur

'sarwar' ki kati kis tarah aakhir shab-e-hijran
kuchh tu hi bata qissa-e-gham dida-e-tar aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close