sab mutmain the subh ka akhbar dekh kar khaif the hum nawishta-e-diwar dekh kar munsif gawah had hai ki mazlum bik gae qimat lagi jo zarf-e-kharidar dekh kar main boriya-nashin gharib-ul-watan faqir hairan tha shan-o-shaukat-e-darbar dekh kar na-waqif-e-rusum-e-huzuri tha ki gaya sab dam-ba-khud the jurat-e-izhaar dekh kar aisa nahin ki sab the haqaeq se na-balad bas bolte the chashm-e-sharar-bar dekh kar tark-e-tawahhumat ne be-faiz kar diya bhatke the hum bhi jubba-o-dastar dekh kar koshish main karta rahta hun ghazlon mein apni 'taj' baaten banaun chashm-o-rukh-e-yar dekh kar