sab pe tu mehrban hai pyare kuchh hamara bhi dhyan hai pyare aa ki tujh bin bahut dinon se ye dil ek suna makan hai pyare tu jahan naz se qadam rakh de wo zamin aasman hai pyare mukhtasar hai ye shauq ki rudad har nafas dastan hai pyare apne ji mein zara to kar insaf kab se na-mehrban hai pyare sabr tute hue dilon ka na le tu yunhi dhan pan hai pyare hum se jo ho saka so kar guzre ab tera imtihan hai pyare mujh mein tujh mein to koi farq nahin ishq kyun darmiyan hai pyare kya kahe haal-e-dil gharib 'jigar' tuti phuti zaban hai pyare