sab se aasan jis ka thikana laga pate pate use ek zamana laga saikdon war khali gae dosto tab kahin ja ke dil par nishana laga sar hai taslim khanjar chala dijiye tir ka kya bharosa laga na laga is liye ek muddat se aabaad hun shahar tera mujhe aashiqana laga apni masumiyat ke sabab dosto hosh walon se behtar diwana laga tere mahlon ki raunaq se badh kar mujhe ek darwesh ka aastana laga