sab sitam yaad hain sari hamdardiyan yaad hain is zamin ke makinon ko sat aasman yaad hain mujh ko afsos hai main juda ho raha hun magar ai musafir mujhe teri sab nekiyan yaad hain main wahan ab nahin hun to kya hai ki ab tak mujhe wo makan us ke darwaze aur khidkiyan yaad hain jin mein barbaad hone ko ji chahta hai bahut mujh ko aisi bhi chand ek aabaadiyan yaad hain jaanta hun 'zafar' ye ghadi bhul jaane ki hai phir bhi sare shukuk aur sare guman yaad hain