sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kulfaten kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten ye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab waraq teri yaad ke koi lamha subh-e-visal ka koi sham-e-hijr ki muddaten jo tumhaari man len naseha to rahega daman-e-dil mein kya na kisi adu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten chalo aao tum ko dikhaen hum jo bacha hai maqtal-e-shahr mein ye mazar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbaten meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane katib-e-waqt ne kisi apne kal mein bhi bhul kar kahin likh rakhi hon masarraten