sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai ab aisi surat mein kis se puchhen ye kya bana hai ye kya hua hai kuchh is tarah se kabhi hua tha sukut-e-dar-o-rasan ka aalam na koi diwana sar-ba-kaf hai na koi wahshi data hua hai maraz ye kya hai ki jis ke dar se tamam duniya laraz rahi hai ye kya waba hai ki jis ke aage har ek ka sar jhuka hua hai wo aasmanon pe jaane wale wo chand se mitti lane wale na jaane ab wo kahan gae hain har ek ghar mein chhupa hua hai wo sab missile ye sare atom bas ek corona ki mar nikle ab aise aalam mein dekh len sab ki chin kaise data hua hai ye waizon ke tamam khutbe hamari mushkil ka hal nahin hain ab is ko khud hum hi hal karenge ye masala jo bana hua hai na koi bhi hum pe pahra-zan hai ki hum kahin aaen aur na jaen har ek insan apne ghar mein khud apna qaidi bana hua hai koi bada ho ki ya ho chhota koi gada ho ki baadshah ho is ibtila ka kamal ye hai ki sab ko yaksan kiya hua hai siwae khamosh chand taron ke in khalaon mein kuchh nahin hai ye zindagi ki hi raunaqen hain ki jin se mela saja hua hai ye kya ghazab hai ki muddaton se khizan hi gulshan mein khema-zan hai jo mausam-e-gul ka karwan tha wo karwan kyon ruka hua hai hamara zauq-e-sukhan hai jari ise kisi shai ka dar nahin hai na husn hum se alag hua hai na ishq hum se juda hua hai khuda to un se khafa hai 'aslam' jo us ke qanun todte hain wagarna hum aise be-bason se khuda bhala kab khafa hua hai