sabit ye main karunga ki hun ya nahin hun main wahm o yaqin ka koi do-raha nahin hun main susta raha hun rahguzar se zara pare kya mujh ko tak rahe ho tamasha nahin hun main pahla qadam kahin mere inkar ka na ho hona tha jis jagah mujhe us ja nahin hun main baisakhiyon pe chalte bano munh na tum lago kahta hun phir ki aadmi achchha nahin hun main hun apne daen baen bhi main hi ye soch lo tum ho to meri tak mein tanha nahin hun main samjhe na koi sarsari sa tazkira mujhe bhar-pur majra hun hawala nahin hun main hairat-kada hun wo ki jise la-makan kahen tum kya samajh rahe ho mujhe kya nahin hun main ye mujh ko sochna hai ki agla qadam ho kya yun bhi kisi ki baat mein aaya nahin hun main kahta hai 'talkh' ghar se nikalna karunga band koi bacha hai jis se ki uljha nahin hun main