sabz hikayat surkh kahani tere aanchal ki mehmani sahj sahj us husn ka chalna us pe andhi shab tufani ek misra wo jism ikahra duja mere lab dahqani jild sunahri hont piyazi is pe khwahish ki arzani baalon ka ghanghor andhera ubhri inton ki hairani pindli se takraati pindli utran ki fitna-samani ek ladki ke dupatte par hum ne ek rut hai phailani anguron ki bel se shab-bhar baaten karti hai virani pusht ye nil pade hon jaise jalta hai patal mein pani do jismon ki aankh anokhi khwab aur khwahish ki yak-jaani os ke bhaale ruh ke chhaale chhaale sa ek dil sailani kaise dil masle jata hai gadla din kaudi yarqani ek tawiz ka sabza dil par ek hikayat raat ki rani dekh dilason wala kasa ishq ki damdi ki hairani sawan ke chhajje par 'amir' ek bhi bund nahin barani