sach hi likha tha ek insan ne jis din kaljug aaega

sach hi likha tha ek insan ne jis din kaljug aaega
lule langde raj karenge andha rah dikhaega

dharm ka kahna jo koi bhi manega sachche dil se
hum se pyar karega wo hi sab ka dukh apnaega

chor-uchakke ghunde-luchche jo mandir mein baithe hain
un se kyunkar dharm karam ka kaam koi ho paega

dukh se pidit fikr se ghayal jab sari manawta hai
phir kyon koi antarman se khush ho kar hans paega

log qayamat ki tayyari bhuke rah kar karte hain
kis ko pata tha insan itna murakh bhi ho jaega

raat andheri baadal garje bijli chamki meinh pade
phir kya bhayanak tufan se ye jag sara bah jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close