sach ki khatir bata tu lada hai kabhi haq pe rah kar qadam bhar chala hai kabhi kyun kami teri mahsus hogi mujhe sath mere kahan tu raha hai kabhi mujh se pahle bhi to honge naqis yahan shor itna magar kya macha hai kabhi ho ke aazad bhi main to hun qaid mein par kata kar parinda uda hai kabhi tu kya jaane bikharne mein kya lutf hai rah mein yar ki tu bichha hai kabhi jhut chalta raha sar ko uncha kiya sach bhala kya kisi ko dikha hai kabhi jis ko padh kar zamana sanwarne lage sher aisa 'hina' kya kaha hai kabhi