sad-shukr bujh gai teri talwar ki hawas qatil yahi thi tere gunahgar ki hawas murde ko bhi mazar mein lene na degi chain ta-hashr tere saya-e-diwar ki hawas sau bar aae ghash arini hi kahunga main musa nahin ki phir ho na didar ki hawas rizwan kahan ye khuld o iram aur main kahan aae the le ke kucha-e-dildar ki hawas sayyaad jab qafas se nikala tha bahr-e-zabh puchhi to hoti murgh-e-giraftar ki hawas yusuf ko teri chah ke saude ki aarzu isa ko tere ishq ke aazar ki hawas dast-e-hawa-e-gul mein gareban hai mera daman junun mein khinchti hai khar ki hawas jab ho kisi ka rishta-e-ulfat gale ka tauq diwana-pan hai subha-o-zunnar ki hawas mane hai zabt charkh phunke kyunkar ai 'jalal' kis tarah nikle aah-e-sharar-bar ki hawas