sada-e-sang daman-gir thi pal pal bahut roya ghani aabaadiyon se laut kar pagal bahut roya mere kheton ko sahra kar gaya basti ko virana magar dariya pe jab pahuncha to ye baadal bahut roya mere kamre ki tanhai mein gahri tirgi phaili kisi ki aankh ka lagta hai phir kajal bahut roya wo jab bhi rizq ke suraj se jal bhun kar hua wapas to us ki budhi man ka be-qarar aanchal bahut roya phir ab ke us ki sakhiyon ke ghar aangan phul khil utthe phir ab ke sal us ki god ka chawal bahut roya faqat ye baat ki aabaadiyon mein sar uchhalte hain darinde ban gae insan to jangal bahut roya hamare ahd ka gautam bhi qatil-dost hai 'anwar' bas itni si khabar par saya-e-pipal bahut roya