sada wo deta bhi hoga to kya khabar mujh ko jo sunne de ye mashinon ka shor-o-shar mujh ko ajib dasht hun main bhi ki ek ek zarra udae phirta hai muddat se dar-ba-dar mujh ko har ek se puchhta phirta hai mera nam-o-nishan guzar gaya tha kabhi sahal jaan kar mujh ko hawa wo dur se deta hai apne daman ko qarib aata nahin jaan kar sharar mujh ko main apne qatl ka ilzam kisi ko dun 'rahi' mila hai apna hi daman lahu mein tar mujh ko