sadaen qaid karun aahaten chura le jaun mahakte jism ki sab khushbuen uda le jaun bala ka shor hai tufan aa gaya shayad kahan ka rakht-e-safar khud ko hi bacha le jaun teri amanaten mahfuz rakh na paunga dobara laut ke aane ki bas dua le jaun kaha hai dariya ne wo shart haar jaega jo ek din mein use sath main baha le jaun abhi to aur na jaane kahan kahan bhatkun kabhi bahaya tha dariya mein jo diya le jaun