sadaf ke karb ko wo manta hai ek ek moti ki qimat jaanta hai nafasat se banata hai khilaune pasine se jo mitti santa hai kahin jaun wo mujh ko dhund lega mujhe mera amal pahchanta hai mayassar hai hawa-e-dasht us ko rida-e-gard se jo chhanta hai jo rahta hai azal ki justuju mein wo duniya mein kise gardanta hai mere qadmon se wabasta masafat mujhe har rasta pahchanta hai mubarak tujh ko teri be-zamiri mujhe is jurm mein kyun santa hai kasafat se hai tauqir-e-latafat andhera raushni ko chhanta hai jise hai yaad qaumon ki kahani hawa ke rukh ko wo pahchanta hai azal se 'ramz' ye zeb-e-nazar hai kahin salma kahin wo kanta hai