sadiyon ke andhere mein utara kare koi

sadiyon ke andhere mein utara kare koi
suraj ko kisi roz hamara kare koi

ek khauf sa bas ghumta rahta hai saron mein
duniya ka mere ghar se nazara kare koi

rangon ka tasawwur bhi uda aankh se ab to
is shahr mein ab kaise guzara kare koi

yun dard ne ummid ke lad se mujhe bandha
dariyaon ko jis tarah kinara kare koi

indhan se hua jin ke safar chand ka mumkin
un ke bhi to chulhe ko sanwara kare koi

raaton ki hukumat mein mere khwab ka tara
jine ke liye jaise ishaara kare koi

ye aaj bhi apna hai 'faqih' is ka bhi socho
kis tak yunhi yaadon ko sahaara kare koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close