sadiyon ko behaal kiya tha ek lamhe ne sawal kiya tha mitti mein taswiren bhar ke kuza-gar ne kamal kiya tha bahar bajti shahnai ne andar kitna nidhaal kiya tha jurm faqat itna tha main ne ek raste ko bahaal kiya tha khushbu jaisi raat ne mera apne jaisa haal kiya tha ek sunahre hijr ne mujh se kitna sabz visal kiya tha