sae ki tarah badh na kabhi qad se ziyaada thak jaega bhagega agar had se ziyaada mumkin hai tere hath se mit jaen lakiren ummid na rakh gauhar-e-maqsad se ziyaada lag jae na tujh par hi tere qatl ka ilzam badnam to hota hai bura bad se ziyaada khwahish hai badai ki to andar se bada ban kar zehn ki bhi nashw-o-numa qad se ziyaada dekhun to mere jism pe shakhen hain na patte sochun to ghana chhanw main bargad se ziyaada rahne do khalaon mein meri qabr na khodo hai pyar mujhe khak ki masnad se ziyaada aankhen to lagi rahti hain darwaze ki jaanib milti hai khushi apni hi aamad se ziyaada kya jaaniye kya baat hai ek umr se 'sajid' viran hai tute hue marqad se ziyaada