safar-ba-KHair pa raKHt-e-safar na le jaana

safar-ba-khair pa rakht-e-safar na le jaana
zamin ki hasraten ab chand par na le jaana

widaa ki sham inhi sahilon pe rahne do
utha ke dasht kahin apne ghar na le jaana

meri thaki hui zulmat-gurez palkon se
kahin umid-e-numud-e-sahar na le jaana

mata-e-arz tha dharti pe laut aaya hai
kisi ko arsh pe bar-e-digar na le jaana

ye pas hoga to tum sa talash kar lunga
chale to ho mera husn-e-nazar na le jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close