safar guman hai rasta khayal hai chaloge mere sath kya khayal hai agar jahan-e-khush-numa fareb hai to sab fareb hai khuda khayal hai nazar ko aks jaan ki lalak hai aur ghazab ye hai ki aaina khayal hai kisi nazar ki raushni se munsalik ye taq mein dhara diya khayal hai kabhi yahan wahan bhatak ke rah gaya kabhi khayal se mila khayal hai mujhe bhi ab nahin hai is ki aarzu use bhi ab kahan mera khayal hai dhuan hawa mein ud gaya 'shumaila' sukhan tera bujha hua khayal hai