safar ke tasawwur se sahma hua hun badi der se yun hi thahra hua hun udhar dubte ja rahe hain sitare idhar main khayalon mein uljha hua hun jalane ke qabil na likhne ke laeq main kaghaz hun sada pa bhiga hua hun sambhaale hun khud ko badi kawishon se mujhe chhu na lena main chatkha hua hun musalsal padi hai kadi dhup mujh par mera rang dekho main kaisa hua hun na baqi hai saya na barg-o-samar hain main mausam ki sazish ka mara hua hun thamengi kabhi to mukhalif hawaen yahi soch kar khud mein simta hua hun