safar mein rasta jo pur-KHatar mila tha mujhe

safar mein rasta jo pur-khatar mila tha mujhe
bahut hi khub tha kyun rahbar mila tha mujhe

jahan mein jab koi jins-e-garan-shanas na tha
to itna besh-baha kyun guhar mila tha mujhe

phir us ke baad mera sar raha na shanon par
dayar-e-ishq mein wo sang-e-dar mila tha mujhe

main ta-hayat farishton ke par kutar leta
jigar ka dard magar mukhtasar mila tha mujhe

chaman mein yar-e-sharar-bar ki khudai mein
shajar mila tha na koi samar mila tha mujhe

jo chahta use main bhi tabah kar deta
usi ke qurb mein aisa hunar mila tha mujhe

suna tha sura-e-ikhlas main ne aazar se
sanam-kade mein khuda ka hi ghar mila tha mujhe

hai moajiza ki wo sidra maqam tak pahuncha
jo ek tair-e-be-baal-o-par mila tha mujhe

ye meri aabla-pai mujhe mubarak ho
wo din yahi tha ki izn-e-safar mila tha mujhe

kabhi 'bashir' ko main ne junun mein dekha tha
ajib sahab-e-fahm-o-nazar mila tha mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close