safed-posh darindon ne gul khilae the zamin surkh hui sabz karne aae the samajh liya tha jinhen main ne raushni ka safir wo aastin mein khanjar chhupa ke lae the musafiron ko ghani chhanw le ke baith gai darakht rah ke donon taraf lagae the mujhe bhi chaaron taraf tishnagi ne daudaya meri nigah pe aab-e-rawan ke sae the mujhe ghurur hai main doston ki neki hun unhen khushi hai ki dariya mein dal aae the mere aziz the wo qabr khod ke rakh di mujhe jo de gae mitti wo sab parae the hawa to apna qarina badal nahin sakti charagh aap ne kis zoam mein jalae the