sahar ka husn gulon ka shabab deta hun nai ghazal ko nai aab-o-tab deta hun mere liye hain andheron ki phansiyan lekin teri sahar ke liye aaftab deta hun wafa ki pyar ki gham ki kahaniyan likh kar sahar ke hath mein dil ki kitab deta hun guzar raha hai jo zehn-e-hayat se 'jami' shab-e-firaq ko wo mahtab deta hun