sahil pe ruk ke su-e-samundar na dekhiye

sahil pe ruk ke su-e-samundar na dekhiye
bahar se apne aap ka manzar na dekhiye

apne wajud hi pe na guzrin kai shokuk
sae ko apne qad ke barabar na dekhiye

jage to mahz ret hi paenge har taraf
gar ho sake to khwab mein sagar na dekhiye

apne hi sar ke zakhm ka kuchh kijiye ilaj
aaya hai kis taraf se ye patthar na dekhiye

yakja na karne aaega koi tamam umr
khush-fahmiyon se khud mein bikhar kar na dekhiye

phir yun na ho ki apna badan ajnabi lage
behtar hai is ke khol se bahar na dekhiye

'azad' ji daraega parchhaiyon ka khauf
viran nazar se koi bhi manzar na dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close