sahne ko hijr jab bhi tamanna mazid ki

sahne ko hijr jab bhi tamanna mazid ki
main ne wajud-e-sher se lazzat kashid ki

dekha tha raat khwab mein sahra-mizaj shakhs
nagri bhi lag rahi thi wo khwaja farid ki

ai muftiyan-e-shahr tumhein ilm hi nahin
logon ne mere chand ko dekha to id ki

ye sunnat-e-husain hai so is liye bhi main
baiat qubul ki na kisi bhi yazid ki

khushiyan to dastiyab thin bazar mein magar
danista main ne hijr ki daulat kharid ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close