sahra dikhai de na samundar dikhai de

sahra dikhai de na samundar dikhai de
ab tak wahi bichhadne ka manzar dikhai de

kya kya meri nazar ne diye hain mujhe fareb
manzar bhi ab mujhe pas-e-manzar dikhai de

tha kya hasin shahar kabhi shahr-e-dil ki ab
dar hi dikhai de na koi ghar dikhai de

milte hain kaise log mohabbat ke nam par
kab un ki aastinon mein khanjar dikhai de

qurbat se us ki raaz hua aashkar ye
wo khokhla darakht tanawar dikhai de

kya baat hai ki kucha-o-bazar mein hamein
'nasrin' jo dikhai de patthar dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close