sahra ko dariya samjha tha main bhi tujh ko kya samjha tha hath chhuda kar jaane wale main tujh ko apna samjha tha phir jaunga apni zaban se kya mujh ko aisa samjha tha itni aankh to mujh mein bhi thi duniya ko duniya samjha tha main ne tujh ko manzil jaana tu mujh ko rasta samjha tha be-aina shahr ne mujh ko khud sa be-chehra samjha tha kya se kya nikla hai, tu bhi main tujh ko kaisa samjha tha