sahra mein har taraf hai wahi shor-e-al-atash dariya ka rukh badal na sake log aakhirash pae gae hain ek khat-e-mustaqim par yaksan hain ab hamari nazar mein jahat-e-shash rukh se haqiqaton ke hijabaat uth gae ab e'tibar-e-did pe khaega kaun ghash wo ikhtiyar-e-did ki surat nahin rahi dil se nikal chuka hai har ek tir-e-nim-kash ai aaftab-e-subh faraghat idhar kahan hum log pi rahe hain abhi zahr-e-kashmakash 'hamid' harim-e-zat mein khud apni dekhiye aakhir chhupa hua hai yahan kaun barq-wash