sahra mein kaDi dhup ka Dar hote hue bhi

sahra mein kadi dhup ka dar hote hue bhi
sae se gurezan hun shajar hote hue bhi

man bap ka manzur-e-nazar hote hue bhi
mahrum-e-wirasat hun pisar hote hue bhi

ye jabr-e-mashiyat hai ki tanhai ki aadat
main qaid hun diwar mein dar hote hue bhi

hum aise parindon ki hai ek ped se nisbat
ud kar kahin jate nahin par hote hue bhi

har chiz luta dena faqiron ka hai shewa
kam-zarf hain kuchh sahab-e-zar hote hue bhi

is des ka basi hun ki jis des ka haari
mayus hai shakhon pe samar hote hue bhi

suraj se kare dosti ek kor basar kya
jalwe ki nahin tab-e-nazar hote hue bhi

kuchh haar gae jabr ke ba-wasf bhi zalim
kuchh jit gae nezon pe sar hote hue bhi

tujh jaisa adad apne tain kuchh bhi nahin hai
main teri zarurat hun sifar hote hue bhi

hansna meri aankhon ka gawara nahin us ko
aur dekh nahin sakta hai tar hote hue bhi

phir dasht-nawardi ne dikhai ye karamat
main shahr mein tha shahr-badar hote hue bhi

is bar the kuchh dost mere madd-e-muqabil
sine pe sahe war sipar hote hue bhi

aise bhi zabun-haal kai log hain 'kashir'
be-ghar hain isi shahr mein ghar hote hue bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close