sahra se bhi viran mera ghar hai ki nahin hai is tarah se jina bhi hunar hai ki nahin hai ye duniya basai hai jo ek be-khabari ki is mein kahin yaadon ka guzar hai ki nahin hai hai jism ke zindan mein wahi ruh ki fariyaad is karb-e-musalsal se mafar hai ki nahin hai diwar ke sae ne tumhein rok liya tha ab himmat-e-ima-e-safar hai ki nahin hai jis ke liye be-khwab raha karti hain aankhen wo aankh bhi aashufta magar hai ki nahin hai hum shola-e-jaan tez hawaon se bacha kar zinda hain magar us ko khabar hai ki nahin hai ab kaun raha hai jo hamein itni khabar de jo haal idhar hai wo udhar hai ki nahin hai