sahra se puchhta hai koi sogwar peD

sahra se puchhta hai koi sogwar ped
kya ab bhi dhundte hain mujhe sabza-zar ped

mitti mein itni tab kahan ped ban sake
diwar se nikal koi saya-dar ped

tahzib apni aap numu kar rahi hai aaj
pipal se ug pade hain khajuron ke chaar ped

badhte chalo ki rah nikal aae khud-bakhud
ugte hain jaise dost sar-e-kohsar ped

main bhi zamin ki nasl-kushi mein sharik hun
karte nahin tabhi to mera eatibar ped

phulon ki justuju mein hatheli hai tar-tar
duniya ho jaise dasht mein ek khar-dar ped

boe hain main ne bij rawayyon ki fasl ke
dekhegi agli nasl yahan be-shumar ped

ai waqt ai azim darakhton ki khud-nawisht
fihrist mein hai ab bhi koi shandar ped

us ne chhua tha bagh mein bas ek ped ko
ab tak khade hue hain wahan mushk-bar ped

gautam ne apni zat ke irfan ke liye
insan ke bajae kiya ikhtiyar ped

tarikh inqalab ki muhtaj kab hui
patthar se ug pade hain kai shahkar ped

wahshat ki tez dhup ne jhulsa ke rakh diya
ya-rab koi falak se hi mujh par utar ped

hijrat ke waqt bap ne mujh se kaha 'munir'
saman to sab samet liya aur yar ped


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close