sahraon mein bhi koi hamraaz gulon ka hai gulshan mein koi rah kar khushbu ko tarasta hai ek din to khulega ye darwaza-e-dil tera ab dekhna hai kab tak ehsas bhatakta hai nindon ke makan mein hai jis din se tera chehra khulti hain ye aankhen to ek khauf sa lagta hai ek roz yahi kirchen binaiyan bakhshengi ye shisha-e-dil tum ne kya soch ke toda hai kaise main yaqin kar lun ikhlas nahin baqi apnon ki adawat ka ye hi to wasila hai jo hausla tufan ko ek khel samajhta tha ab aap ki yaadon ke dariya mein wo duba hai saqi ki tasalli bhi wajid hai nasha jaise ikhlas ka paikar hai akhlaq ka putla hai