saikdon sal ki zaban hun main phir bhi be-jaan dastan hun main kuchh samajh mein mere nahin aata main zamin hun ya aasman hun main tu hai raunaq meri main tere bina ek viran sa makan hun main jis khazane ki tum talash mein ho us khazane ka ek nishan hun main sirf do-chaar din ki baat nahin zindagi bhar ka saeban hun main