sailab qasr-e-dil se guzarta hua sa hai shishe ka ye makan bikharta hua sa hai thahre kahan nigah ki suraj hai samne aankhon mein dhup dasht utarta hua sa hai kuchh bhi mila nahin hai samundar mein dub kar lekin jazira koi ubharta hua sa hai dhundla rahe hain naqsh hawadis ki mar se manzar tumhaari yaad ka marta hua sa hai ghar mein udasiyon ka hai mela laga hua mausam ghamon ka apne nikharta hua sa hai lekin mujhe ye sham jagaegi raat-bhar din ka har ek zakhm to bharta hua sa hai