sailana un ke dar par jab mera jaana hua hans ke bole shah-sahib kis taraf aana hua tute but masjid bani mismar but-khana hua jab to ek surat bhi thi ab saf virana hua har jagah maujud samjha us ko sajda kar liya khwah masjid khwah girja khwah but-khana hua baz rakhti hai hamein khidmat se az-khud-raftagi aan niklenge kabhi gar aap main aana hua beshtar bulbul se tha sar mein mere shor-e-junun fasl-e-gul aane na pai thi ki diwana hua garmi-e-furqat mein jab ashkon se mizhgan tar huin marduman-e-chashm ke rahne ko khas-khana hua kar-khane jitne hain duniya ke sab hain be-sabaat aankh se jo aaj dekha kal wo afsana hua hanste hanste dil-lagi ke waste napa jo aaj sarw ka qad us sahi-qamat ke ta-shana hua yusuf-e-misr-e-mohabbat kaisa arzan bik gaya naqd-e-dil qimat hui ek bosa baiana hua jal ke us ne jaan di ye nale kar ke rah gai ishq-e-bulbul par bhi faiq ishq-e-parwana hua ishq-e-dandan ki khata par qatl jo mujh ko kiya is liye shamshir-e-qatil mein bhi dandana hua main ne jaana kasa-e-sar hai kisi mai-khwar ka wazhguna dast-e-saqi mein jo paimana hua muzhda-baad ai baada-khwaro daur-e-waiz ho chuka madrase khole gae tamir mai-khana hua 'rind' hun roz-e-azal se hun main warafta-mizaj is liye taur-e-sukhan bhi apna rindana hua