saint kar iman kuchh din aur rakhna hai abhi aaj-kal bazar mein mandi hai sasta hai abhi darmiyan jo fasla rakkha hua sa hai abhi ek yahi us tak pahunchne ka wasila hai abhi yun hi sab mil baithte hain sabequnal-awwalun dasht mein jari hamara aana jaana hai abhi muskurana ek fan hai aur main nau-mashq hun phir bhi kya kam hai use bechain dekha hai abhi qumqumon ki raushni mein bhi nazar aata hai chand ganw mein mera purana ek shanasa hai abhi ja-ba-ja bikhre pade hain sare aaza khwab ke zer-e-mizhgan kis ne ye shab-khun mara hai abhi kyun na ghad len kuchh manaqib aur fazael habs ke jab isi andhe kuen mein hum ko jina hai abhi