sakht mushkil mein kiya hijr ne aasan mujhe dusra ishq hua pahle ke dauran mujhe tere andar ki udasi ke mushabah hun main khal-o-khad se nahin aawaz se pahchan mujhe ajnabi shahr mein ek luqme ko tarsa hua main mezban jismon ne samjha nahin mehman mujhe ek hi shakl ke sab chehre the lekin phir bhi ek chehre ne to behad kiya hairan mujhe main mohabbat bhi mohabbat ke ewaz deta hun phir bhi ho jata hai is kaam mein nuqsan mujhe bhule-bisre kisi naghme ki si shadab aawaz raat kanon mein padi kar gai sunsan mujhe jaane kab saunp dun mitti ko ye mitti ka qafas jaane kab dena pade ruh ka tawan mujhe